Realme C1 Tips And Tricks || Hidden Features

Hello Doston mera naam hai Ankur. Aur swagat hai aapka is website par jiska naam hai goluwar. doston main aaj aapko Realme C1 ke hidden features ke baare main batane wala hun. to aap is post ko dhyan se padiye. Doston ye tricks aapki Realme C1 aur Realme 1, Realme 2, Realme 2 Pro par bhi kaam karegi. to doston aap inmain se kisi bhi smartphone par ye trick apply kar sakate hain. To chaliye doston dekhte hai hidden features:-
realme 2 pro hidden features,realme 1 hidden features,realme 2 pro features,realme 1 features,realme 1 best features,oppo realme 1 features,realme 2 hidden features,realme c1 hidden features,realme 2 pro,realme,realme 2 pro best features,realme 2,realme hidden features,realme c1 5 hidden features,realme one hidden features,realme 2 top features,realme 1 top best features,realme 2 pro tips and tricks,realme 2 pro,realme 1 tips and tricks,realme 1 tricks,realme 2 pro tricks,realme 2 tips and tricks,realme 1,realme 2 tricks,realme 2 pro features,realme 1 features,realme 2,realme 2 pro tips & tricks,oppo realme 1 features,realme 2 pro tips,realme 2 pro hidden features,realme 2 tips and tricks in hindi,realme 1 tips and tricks in hindi,realme

1. Notch Hide karna:-
                                  Doston realme ke smartphone main screen par aapko notch dekhne ko milta hai. kai log screen par notch ko pasand nahi karate hain. to isko hide karane ke liye realme ki setting main aisa koi option nahi milta hai. Agar aapko Notch ko hide karna hai to aapko Play Store se ek apps ki jaroorat hogi jiska naam hai Nacho Notch. iss aap ko aap apne phone main install kar lijiye. ye app kafi acche se work karatei hai. iss aap ki sahayata se aap apne screen ki notch ko remove kar sakate hain. 

2. Internet Speed:-
                               Doston agar aapko aapke internet ki speed Notification panel main show nahi ho rahi hai to uske liye aapko aapke phone ki settings main jana hoga wahan par aapko Notification & Status Bar main jana hogo. to wahan aapko Show Real Time Network Speed dikhega, use aapko enable karna hoga. Jab aap usse enable kar denge to aapke mobile ke notification panel par aapke wifi or mobile data ki speed show hone lagegi.

3. Home Screen Layout:-
                                         Doston kai baar hume mobile ki screen ke icon bade dikhaee dete hain. to hum sochte hain ki ye icon chote kaise honge tab hum unhe chote nahi kar paate hain. To doston main aapko batane wala hun ki aap aapke mobile ki screen ke icons ko kaise chote aur vyavasthit kar sakate hain. doston iske liye aapko mobile ki Settings main jana hoga, wahan aapko HomeScreen & Wallpaper Show hoga. yahan aapko HomeScreen & Wallpaper main jana hai. iske andar apko HomeScreen Layout dikhega usmain aapko layout dikhenge ismain se aap agar isko 5 x 6 kar denge to aapka layout small icons par set ho jayega. 

4 Screen Gestures:-
                                 Doston in mobiles main cool gestures diye hue hain. main agar aapko bataun to aapka kaafi time nikal jayega. main kewal aapko bata deta hun ki aapko kahan ye gestures milenge. aap unko ek-ek karke use karke dekh lijiye. To doston aapko in gestures ko use karne ke liye mobile ki Settings main jana hoga wahan aapko Smart & Convenient Option dikhega jismain aapko andar jana hai. issi option main aako kai saare getures ke option mil jayegenge jinhe aap use karke dekh sakate hain. inmain se kuch gestures ke naam main aapko batata hun like Navigation Keys, Gestures Motion, Smart Driving, etc.

5. Privacy:- 
                    Doston hum log apne mobile camera se photo lete hain. Aur ye photo hamari phone ki gallery main store rahate hain. agar koi hamare phone ko use karta hai aur wo hamari gallery ko kholta hai to wo aasani se hamare private photo ko access kar sakata hai. To doston realme ne is baat ka dhyan rakhate huye hume privacy feature diya hua hai jiski sahayata se hum apane private pictures, audio, videos, etc. ko ek private safe main rakh sakate hain. iske liye humain koi Third-Party app ki jaroorat nahi hogi kyunki yaha features humko company ki taraf se hi milta hai. To Doston is feature ka upyog karane ke liye aapko mobile ki Settings main jana hoga. Settings main aapko Security Option milega, ismain aapko down side main jaane par ek Private Safe ka option milega. To Private Safe main jab aap jayenge to ye aapse passcode poochega to aap yahan apne hisab se passcode set kar denge. Password set karne ke baad aap ismain andar jayenge to ye aapse photo, audio, document, other ka option dikhayega. jis option se aap andar jayenge us option ke according aap apna photo,audio,etc. private safe main import kar lenge. jaise hi aap apne private safe main photo wagera ko import karenge, to aapki gallery main se wo photo show hona band ho jayega. agar aap photo ko dubara dekhna chahenge to aap us private safe main jakar us photo ko dubara se dekh sakate hain.

6. 3 Finger Screenshot:-
                                        Doston aap apne mobile se 3 finger ki sahayata se aapke mobile ka screen shot le sakate hain. iske liye aapko aapki 3 finger ko ek saath mobile ki screen par uper se neeche ki taraf ferna hai. jaise hi aap 3 finger ferenge wiase hi aapke mobile ki screenshot ban jayegei. par doston ho sakata hai ki aapke mobile main 3finger screenshot enable na ho, to is feature ko enable karane ke liye aapko mobile ki Settings main jana hoga. Settings main jaane ke baad aapko Smart & Continent main jana hoga. wahan aapko milega Gesture & Motion, ismain jab aap jayenge tab apko 3-Finger Screenshot Option dikhega, is option ko aap enable kar dege to aapke mobile main 3 Finger Screenshot ka feature start ho jayega.

7. App Split-Screen:-
                                    Doston app split screen ek bahut hi accha feature hai. ismain aapke mobile ki screen do bhag main devide ho jaati hai. matlab aap do screen par ek saath kaam kar sakate hain. is feature ko enable karane ke liye aapko Settings main jana hoga. Settings main aapko sabase neeche jaane par App Split-Screen ka option najar ayega. ismain jakar aapko App Split-Screen option ko enable karna hoga. enable karane ke baad aapko jab bhi is feature ka upyog karna hoga tab aapko mobile ke bottom side se 3 finger ko uper ki side ferna hoga, to aapki screen 2 bhag main aa jayegi. aap alag alag bhaag par kaam kar sakate hain.

8. Dual App/ Clone App:-
                                            Doston other smartphone ki tarah hi Realme ne bhi dual/clone app ka feature diya hua hai. is feature se aap apne mobile main kisi bhi app ki duplicate app chala sakate hain jaise ki aapko apane mobile main 2 whatsapp account chalane hain. to aap is feature ka upyog karake Dual aap chala sakate hain. To doston iss feature ko enable karane ke liye aapko apane mobile ki Settings main jana hoga, wahan aapko neeche ki side main Clone Apps ka option milega. ismain jakar aap kisi bhi apps ka clone enable kar sakate hain.

9. Assistant Ball:-
                               Doston iss smartphone main Assistant Ball ka feature bhi diya hua hai. Doston is feature ki sahayata se aap apne mobile ke navgation buttion ki madat se handle karane ki wajah ek ball ki sahayata se navigate kar sakate hai. jab aap iss feature ko enable karenge to aapke mobile ki screen par ek ball type se show hone lagegi jiski sahayata se aap aapne mobile main kaise bhi navigate kar sakate hain. To doston iss feature ko enable karane ke liye aapko mobile main ye process follow karna hogi. Settings -> Smart & Continent -> Assistive Ball -> Enable Assistive Ball. Jaise hi aap isko enable karenge waise hi aapki screen par ek bubble aa jayega. iski sahayata se aap apane mobile ko navigate kar sakate hain.

To Doston Umeed karate hain ki aapko ye janakari pasand ayee hogi. doston aapko ye jankari agar pasand ayee hai to ise share kare. aur aapko koi jankari chahiye to aap mujhe comment kar sakate hain.to doston milte hain next Topic par. tab tak ke liye jai hind, jai bharat.
                               

Post a Comment

1 Comments

  1. I’m going to read this. I’ll be sure to come back. thanks for sharing. and also This article gives the light in which we can observe the reality. this is very nice one and gives indepth information. thanks for this nice article... glo data plan

    ReplyDelete